Latest collection of rude text messages, thank you messages, love text messages, hilarious text messages, funny romantic text messages, funniest sweet text messages, birthday messages and sms text messages.


Sad Poetry

Apr 3, 2009 Author: nayna | Filed under: Sad Poetry

Muddat say dil jis kay liay berurar tha
woh lout ke na aya magar intizar tha
Jo humsufar tha woh chor gia rah main mujy
main phans gai bhanwar main wo darya ke paar tha
manzil qareeb aai to tum doooor ho gy
Itna to tum batao kh yah kaisa pyar hy
deewar barhai kis nay dono ky darmiyan
Na wo sakoon se baithay na mujh ko qarar tha
Yh baat umar bhar na samaj payi main
Kyun yah dil mara us bewafa ka talabgaar tha

Aapse hum tb miley jab aapka koi sahara nahi tha

Apr 3, 2009 Author: Saim | Filed under: Sad Poetry

Aapse hum tb miley jab aapka koi sahara nahi tha
Un dino hamare bina ap ka ek b pal gavara nahi tha
Lagta tha hamare rishty ka kabi kinaara ni tha
Aj dekhiye kaisy badal gaya hy waqt-e-aalam
Ap ke ghumoon ko to hum ny churaa liya
Kyu ki khushiyoon pe to huk hamara na tha

Kash

Feb 23, 2009 Author: Saim | Filed under: Sad Poetry, Urdu Poetry

Aankhoon main aansu aay na hoty
Agr wo peechy se muskuray na hoty
Un ky jany ky baad yh gham hota hy kh.
Kash wo jindgi main aye na hoty

Sad

Feb 19, 2009 Author: admin | Filed under: Sad Poetry

Zara se zindagi hay arman boht hain
humdard nai koi pr insan boht hain
Dil ka dard sunayain kis ko
Jo Shaks dil ky kareeb hay wo anjan boht hay

Yaad

Feb 4, 2009 Author: admin | Filed under: Sad Poetry

Aya he tha khayal kh ankhain jhalak gain
Ansoo kisi ke yaad ky kitny kareeb thy

Maloom Ni

Jan 30, 2009 Author: Saim | Filed under: Sad Poetry

Kia ghum hy kia khushi maloom ni
Wo apna hy kh ajnabi maloom ni
Jis ky baghair ik pal ni guzarta
Kaisy guzry ge zindagi maloom ni

Sad

Jan 18, 2009 Author: nayna | Filed under: Sad Poetry

Raat ko jalty diay b din main bujh jiya karty hain
Aur ik hum hain jo kh tary pyar main din raat jala karty hain

Us ko chaaha pr izhaar krna na aya

Jan 8, 2009 Author: nayna | Filed under: Mix, Urdu Poetry

Us ko chaaha pr izhaar krna na aya
Kat gye umar lakin pyar krna na aya
Usny manga b agr kuch to judae mange
Aur hum thy kh inkar karna na aya

Aj us ke yaad ny humy tarpaya boht

Jan 7, 2009 Author: Saim | Filed under: Sad Poetry

Aj us ke yaad ny humy tarpaya boht
Aj na chahty huay b wo yaad aya boht
Us ky bad to jaisy weshatoon sy dosti ho gai
Phir kyun tanhayun ny aj daraya boht
Wo mari the mari hay mari rahy g
Yah sooch kar dil ko bahlaya boht
Shama ky jalny py afsoos kary kyun
Humny b manand-e-eshama khud ko jalaya boht
Hum nay jis kasi ko b humdard samja
Wo na jany kyun humary dard py muskraya boht

Mujy bhool kr tujy kia mila

Oct 19, 2008 Author: eman | Filed under: Sad Poetry

Mari zindagi mujy yh bata mujy bhool kr tujy kia mila

mari hasratoon ka hasaab dy dil toor kar tujy kia mila

Tary char din ky pyar say mujy umer bhar ja gham mila

Main toot kr bikhar gia mujy toor kr tujy kia mila


Advertising










Categories


Archives


Links


Meta