Diya Khud se Bhuja Dena
Hawa ko aur kya Dena
Kabhi is tor se Hansna
K duniya ko Rula Dena
Kabhi is Rung mein Rona
K khud pr Muskura Dena
Main Teri Dastaras Chahon
Mujhe aesi Dua Dena
Main Tera Barmala Mujrim
Mujhe khul kar Saza Dena
Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat kar Jaza Dena
Mujhe Acha lagay “Mohsin”
Usay Paa kar Ganwa Dena
Akela waris hn main uski tamam Nafratoon ka Mohsin
Jo shakhs sare shehr main piyar bant’ta hay
Akela waris hon main uski tamam Nafraton ka” Mohsin”
Jo shakhs sare shehr main piyar bant’ta ha
Usay Ganwa K Ma Zinda Hoon Iss Terhan “Mohsin”
Kay Jaisay Taiz Hawa Mai Chiragh Jalta Hai”
shahar k sub log thahry ajnabi
zindgi tu mujha kb raas aay gi
ab to sahraa ma bhi ge nahi lagta
dil ki warani kahan la jaay gi.
khizaon ma hota ha imtihaan wafaoon ka “Mohsin”
Jo ho shajar ko pyaray wo patty nahi girtay…
Na marawat na muhabat na khaloos ha “Mohsin”
Ma tou sharminda hon iss dour ka insaan ho kar
Ya kis moor pa zindagi aa khari hoi “Mohsin”
Uss na dard ka aadi bnaa kr dard dana chor dya…
Phool khil jain to uss shaks sa kum kum milna “Mohsin”
Aisay hi mosam ma mohabat pa zawaal aata ha..
“Mohsin” khushi ki bheek maa kis kis sa mangta,
acha howa ky ghum sa tabiyat bahal gai…