Ishq

Yh Tera Wahm-o-Gumaan Hy
Wo kissi or ka dil o Jaan Hy
To tarapti rh us ky wisal main
Mohabbat ka yah he anjam hy
To ishq sy abi door hy
Yh to fakt abi imtihaan hy

Mohabbat

Hum tum ko Ishq ka ilzam ni dain gy
Hum kal sy mohabbat ka naam ni lain gy

Mohabbat

Wo kia wafa karain gy,
Jin ko pata he ni mohabbat kia cheez hy,
Hum ny ke hy mohabbat,
Pucheeye hum sy wafa kia cheez hy.

Mohabbat jeet hoti hy

Mohabbat jeet hoti hay
Magr yh har jati hay

Kabi dil soz lamhoon sy
Kabi bykar rasmon sy

Kabi taqdeer walooN sy
Kabi majboor kasmoon sy

Kabi ya dhool jasi hay
Kabi yh chand jasi hay

Kabi yh dhoop jasi hy
Kabi masroor jasi hy

Kabi yh rog dati hy
Kasi ka chain lati hy

Mohabbat jeet hoti hy
Magr yh haar jati hay

Mohobbatain Jab Shumar Karna

Mohobbtain jb shumar krna to saazishain b shumar krna
jo mery hissy main aye hain wo azyatain b shumar krna

Jalaye rakhon g subah tk main tumhary raston py apni aankhain
agr kahin zabt toot jay to baarishain b shumar krna

Jo harf loh e wafa py likhy huy hain un ko b daikh layna
jo raayegaan ho gai hain wo ibaratain b shumar krna

Yh sardiyon ka udas mausam k darkanain sard ho gai hain
jb inki yukh bastagi parakhna tamaazatain b shumar krna

Tum apni mujbooriyon ky qissay zaroor likhna wazahaton say
jo meri aankhon main jal bujhi hain wo khwahishain b shumar krna


Categories