Seh loon ga teri judai k azaab saray
Ek pal mein bikhar gay khawaab saray

Teri he dosti mein milay hum ko
Wafaoun kay badlay mein saraab saray

Tujay chaha to sab ko bhool giya tha
Rooth gay muj say mere aehbab saray

Tere bad log deewana kehnay lagay
Bhool giya mein mehfil kay adab saray