agar Hum Dost Hotay To,
Karam Ki Intehaa Kartay,
Tumhen Palkon Pay Rakhtay Hum,
Tumhen Dill main Basataay Hum,
agar Tum Rooth Jaatay To,
Tumhen Kitna Manaatey Hum,
Jo Milneey Tum Nahii aatey,
To aa kar Khud Tumhain miltey,
Tumhari Laghzishon Ko Bhi,
Hansi mein Hum Uraa Detay,
agr apni Khataa Hoti,
To Khud Ko Bhi Saza Daitey,
magr Ye Sab Jabhi Hotaa,
agar Hum Dost Hotey To,
magr itna hee Jana Haay,
Ky Tum Ney aaj Tak Hum Ko,
Paraya Keh Kar Jana Haay,
Kabhi Hamdam Naa mana Hay,
agar Hum Dost Hotaay To…
Leave a reply