Pyar ka Deep Jalanay walay , kuch kuch pagal hota han
Apni Jaan se Janay walay , kuch kuch pagal hota han
Hijar ka gehraay zakham milay to mujh ko yeh Ehsas hoa
Pagal ko samjhanay walay ,kuch kuch pagal hota han
Jaan se pyaray Logoon se bhi kuch kuch parda laazim ha
Saari Baat Batanay walay , kuch kuch pagal hota han
Us kay ishq main bheeg kay hum ko yeh ehsas hoa
Dil ki Baat main Aanay walay ,kuch kuch pagal hota han