himmat-e-iltija nahin baki
zabt ka hausla nahin baki

ik teri ded chin gai mujh sey
warna duniya main kya nahin baki

apni mashq-e-sitam se hath na khench
main nahin ya wafaa nahin baki

teri chashm-e-alamnawaz ki khar
dil main koi gilaa nahin baki

ho chuka khatm ahad-e-hijr-o-wisal
zindagi main abĀ  mazaa nahin baqi…..