Mohobbtain jb shumar krna to saazishain b shumar krna
jo mery hissy main aye hain wo azyatain b shumar krna

Jalaye rakhon g subah tk main tumhary raston py apni aankhain
agr kahin zabt toot jay to baarishain b shumar krna

Jo harf loh e wafa py likhy huy hain un ko b daikh layna
jo raayegaan ho gai hain wo ibaratain b shumar krna

Yh sardiyon ka udas mausam k darkanain sard ho gai hain
jb inki yukh bastagi parakhna tamaazatain b shumar krna

Tum apni mujbooriyon ky qissay zaroor likhna wazahaton say
jo meri aankhon main jal bujhi hain wo khwahishain b shumar krna