Main Na Mil Sakoon Jo Tumse Meri Justaju Naa Karna,
Tumhe Merihi Qasam Hai Meri Aarzoo Na Karna,
Mujhy Jis Say Hai Mohabbat Use Hai Ajab Ye Aadat
Kabhi Munh Ko Pher Lenaa Kabhi Guftagu Naa Karna
Maine Chaahaa Thaa Kisi Ko Meraa Haal Kyaa Hai Dekho
Jo Kiyaa Kasoor Maine Wohi Tum Kabhi Na Karna
Meri Ho Agar Buraayi To Naa Denaa Tum Safaai
Mere Saath Khud Ko Be Ruswaa Kabhi Tum Na Karna
Leave a reply