Main ne har kanta teri rah ka palkoon se chuna
Log kehtay hain main dushman ho tera tu ne sunna

Janay keya soch ke har zulm rawa rakha hai
Keya main pather hon ju kadmon main saja rakha hai
Main ne rakha hai faqat appni muhabat ka bharam
Warna herjai teray pyar main keya rakha hai

Bewafai ka gela lab pe nahi lawon ga
Tu muqadar main nahi dil ko yeh samjhawoon ga
Hal-e-dil sun’ne ke shayad tujhay fursat na milay
Teri dunya se bohat door chala jawoon ga

Yeh muqadar ka lekha hai koi takrar nahi
Meri kismat main kaheen saya-e-dewar nahi
Abh main tujh se bhi inayat ka talab gar nahi
Yeh gunha saab se bara hai ke gunha gaar nahi

Main nay her kanta teri rah ka palkoon se chuna
Log kehtay hain main dushman ho tera tu ne sunna…