Khuda Karay Ke Meri Arz-e-Pak Per Utray,
Wo Fasl-e-Gul Jisay Andesha-e-Zawaal Na Ho,
Yahan Jo Phool Khilay, Khila Rahay Sadi’on,
Yahan Khizaan Ko Guzarnay Ki Bhi Majaal Na Ho,
Yahan Jo Sabza Ugay, Hamesha Sabz Rahay,
Aur Aisa Sabz Ke Jis Ki Koi Misaal Na Ho,
Khuda Karay Ke Meray Aik Bhi Hum’Watan Ke Leay,
Hayaat Jurm Na Ho, Zindagi Wabaal Na Ho…………
Leave a reply