Latest collection of rude text messages, thank you messages, love text messages, hilarious text messages, funny romantic text messages, funniest sweet text messages, birthday messages and sms text messages.
Kaash main tary haseen hath ka kangan hota
Tu bary pyaar sy bary chaao sy bary aramaan ky sath
Apni nazak se kalai main charhathi mujh ko
Aur bytabi sy furqat ky KhizaN lamhon main
Tu kasi soch main Dubi jo ghumati mujh ko
Main tare haath ki Khushbu sy mahak sa jata
Jab kabi mooD main a kr mujhy chuma karati
Tere honTon ke sheddat sy main dahak sa jata
Raat ko jb be tu neendon ky safar pr jaati
Marmari hath ka ak takiya bnaya karti
Main tary kan sy lag kr kai batain karata
Tare zulfon ko tery gaal ko chuuma karata
Jb bhe tu band qaba kholany lagati jana
Apanii aaNkhon ko tery husn sy kheraan karata
Mujh ko betab sa rakhta tare chahat ka nasha
Main tari ruh ky gulashan main mahakata rahata
Main tary jism ke aaNghan main khanakata rahata
Kuch nahi to yahi benam sa bandhan hotaa
Kash main tery hasiin hath kaa kangan hotaa
Leave a reply