tUm kyOun Baney They Dil Ka Sahara Jawab Do
KhamOsh Kis Leye Ho Khudara Jawab Do

Tum nay hee tu muj ko, bakhsha tha dard-e-dil
Kiyon kar sako gay dard ka charaa Javaab Do

Chahat Kii Dil-Faraib Adaiyen Kahan Gaien
Ab Kya hUa Wo Pyar tUmhara Jawab Do

Aakhir tUmharey Dil Mein Yeh Kya Aa Gya Khayal
kyOun Kar Rahey Ho hUm Sey Kinara Jawab Do