Jab bhi un ka khiyal aata ha
Lay k ranjh o maalal aata ha

Rah e Ulfat kathin hai itni k
Jis koo dekhoo nidhaal aata ha

un kay teivar badal jatey hain
Lab pe jab bhi sawal aata ha

Kirchi kirchi diloon ko kartey hain
un ko bass yeh kaamaal aata ha

Log Ujh e Falak ko Chootey hain
Hum pe he kiun zawaal aata hai