Dil ne ek baar aur humaara kehna maana ha
Is holi pe phir usy rangny jaana ha
Har saal khareeden hain rang, kari hai tayaari,
Is baar to khelenaa humaare saath, dekhnaa raah humaari.
Shahar mein sabse pooch rahe hain , rang-e-mohabbat kahaan milega
Raat ko khuda ne bataaya ki abhi aur imtehaanon se guzarnaa parega
Neela, hara , peela , gulaabi yeh sab to ek bahaana ha
Holi ka ho din ya kuch aur hume to tumse milne aana ha
Is Holi pe usy rangny jaana ha
Is Holi pe usy rangny jaana ha
Related posts:
Go at Home Page AllBestMessages
Leave a reply