Ham Pyaar mein har waada nibhaate chale gaye
Wo kadam kadam pe hamko mitaate chale gaye
Hamne shikwaa na kiye unse unki Bewafaai ka
Lekin phir bhi wo daaman bachaate chale gaye

Ham sukh ki chaah mein dukh uthaate chale gaye
Har gham ko ham seene se lagaate chale gaye
Zamaane ko mere dard ka ehsaas nahin hota
Ham har mehfil mein Haal-e-dil sunaate chale gaye