de kar gham e judai wo janey kidhar gya
barpa qayamatain jo merey dil pe kar gya

jatey huwe wo le k dua ka asar gya
mujhko gham e hayat se baighana kar gya

daikha jo soo e Taj mehal dil ne ye kaha
fun zinda reh gaya magar funkar mar gya

kya yaad kar sakega yaha’n par mujhey koi
shiraza meri hasti ka jiss din bikhar gya

phir aaj dhundhti hai usey ye nigah e shauk
daikhey jisey sanam, zamana guzar gya