wo jo khud pairvi-e-ahla-e-wafa karta tha,

mujh sa milta tha toy talken-e- wafa karta tha,

uss ka daman ma koi phol nahi maray liey,

jo mari tangi-e-daman ka gila karta tha,

aaj jo uss ko bulaya toy wogumsum hi rha ,

dil dharakanay ki jo awaz suna karta tha,

aaj wo mari har 1 baat ka manie pochay,

jo mari soch ki tahreer likha karta tha,

us ki dahlez pa sadiyon sa khra hun ”Muhsin”

mujh sa milnay ka jo lamhaat ginaa karta tha,