Some topic names for this category are: wasi shah sms, wasi shah messages, romantic wasi sms, wasi shah sms in urdu, wasi shah shayari, wasi shah poems, wasi poetry
baeen karti hoi aankhin ya parashan zulfein,
orr kya chahtay ho uss sa muhabat kar ka……
Tumhain Janan Ijazat Ha
Ka in Tareek Rahon Par
Thakan Si Khud Mein Pao to
Andheron Se Kabhi Dil Dol Jae
Thak Si Jao To
Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Bekangal Hathon Se ChOra K Apne Hathon Ko
Fiza Ki Naghmagi Se tum Nae Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Par Nae Khawab Bun Lena….
Jan se Mar de Mujhy Leken,
chor jane ka Mujh per zulm na kar,
Yeh Mera hosla ha tere bagair
Sans Leta hon baat karta hon…..
Mari aankhon ma ansoo pighalta raha, chaand jalta raha,
Tari yadoon ka sooraj niklta raha,chaand jalta raha,
Koi bistar pa shabnam lapatay howa khawab dakha kya,
Koi yadoon ma karwat badalta raha,chaand jalta raha,
Ma to ya janta hon k jis shab mujha chor kr tum gaay,
Aasmanoo sa shola niklta raha,chaand jalta raha…..
Dekhna ha vo mujh par meharbaan kitnaa ha
asliyat kahaan tak ha aur gumaan kitnaa ha
kyaa panaah deti ha aur ye zamin mujh ko
aur abhi mery sar par aasmaan kitnaa ha….
ma hon tara khayal hay or chand raat ha,
dil dard sa nidhal hay orr chand raat ha,
ankhon ma chubh gai tara pyar ki kircyaan,
kaandhon pa gum ki shaal ha or chand raat hay….
Muhabton ka nisaab jasa,
wo ik chahra kitaab jasa,
mahakta ha mara qalbo jaan ma,
wo shakhs khilta gulaab jasa,
ma sohoon uss ko to toot jay,
khayal nazuk habaab jasa……..
koi dhundla sa ik chahra mari ankhon ma rahta ha,
koi bhatka sa ik jugnoo mari khuabon ma rahta ha,
ik manoos si awaz mujha sonay nahi dati,
koi uljha sa ik jumla mari yadon ma rahta ha…
Pyar ka Deep Jalanay walay , kuch kuch pagal hota han
Apni Jaan se Janay walay , kuch kuch pagal hota han
Hijar ka gehraay zakham milay to mujh ko yeh Ehsas hoa
Pagal ko samjhanay walay ,kuch kuch pagal hota han
Jaan se pyaray Logoon se bhi kuch kuch parda laazim ha
Saari Baat Batanay walay , kuch kuch pagal hota han
Us kay ishq main bheeg kay hum ko yeh ehsas hoa
Dil ki Baat main Aanay walay ,kuch kuch pagal hota han
Hum se bhulaya hi nhi jata ek mukhlis ka pyar WASI,
Log jigar waley han roz naya mehboob bana lete han….