Some topic names for this category are: wasi shah sms, wasi shah messages, romantic wasi sms, wasi shah sms in urdu, wasi shah shayari, wasi shah poems, wasi poetry
* Mujhay Apne Kirdaar Pe Itna Tou Yaqeen hai
~~@ WASI @~~
* Koi Mujhay Chor Tou Sakta Hai Magr Bhula Nahi Sakta.
Ab tu mumkin he nahe us se mulaqat wasi
Ab tu arooj pe puhanchi hai us ke zaat wasi
wohe waday hain aur rasmon ke zanjeer baqi
kab badlalty hain zamanay ke riwayaat wasi
Aik woh thay keh ek doosray ko sochtay they ham
Ab miltay nahe donon k khayalaat wasi
Mairy har subha ka aghaaz tairay naam se ho
tairy yadon main kat’ti mairy har ek raat wasi
Tum kahan aur mairay peyar ka meayaar kahan?
Wo kitnay saadgi se kar gea yeah baat wasi..
Wo mairay alfaaz se hairaan rahta tha.
Main us k zoque se paraishaan rahta tha!
Be-wafa to keh dea tha sar-e-aam us ne.
Phir na jaanay keon khud he pashaimaan rahta tha!
Suna hai k poocha tha kisi ne mairay baaray main us se.
Kaha us ne k haan dill main ek nadaan rahta tha!
Wasi ham kaisay us ke ruswaee karain?
Jis par kabhe hamara emaan rahta tha!!!
Ya soch lia ha k ab Us ko awaaz nahi deni “Wasi”
Ab ky main bhi dekhon Wo mera talbgar hay kitna.
Hazaron dukh parain sehna Muhabbat mar nahe sakti,
hai tum se bus yahi kahna Muhabbat mar nahe sakti,
tayra har bar mairay khat ko perhna aur ro dayna,
maira har bar lekh dayna Muhabbat mar nahe sakti,
kiya tha hum ne campous ki nadi per aik haseen wada,
bhaly hum ko paray marna Muhabbat mar nahe sakti…
jahan mai jab talak panchi chahaktay urtay phirtay hain
hai jab tak phool ka sambhalna Muhabbat mar nahe sakti.
Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat “WASI”
Ab to urooj pe pahunchi hai us ki zaat “WASI”
Wohi wade hain aur rasmon ki zanjeeren baqi
Kab badalti hain zamane ki riwayat “WASI”
Ek wo din the k ek doosre ko sochte the hum
Ab milte nahi dono k khayalat “WASI”
Hum beraham tu kisi se bhi wafa nahi karty,
Najany Phir bhi log kyon hmsay pyar kiya krty hain..
Khuwab aur kushboo,
dono he azadah rooh hain,
dono he kaid nhi hoo sakte,
Mere Kuwab,
Tumari Kushbo…
Dil Main Afsoos Aankhon Main “NAMI” See Rahti Ha,
Zindagi Main Shayad Koi “KAMI” See Rahti Ha,
Mujh Say Rooth Jatay Hain Aksar Meray Dost “WASI”,
Shayad Mery Khaloos Main Koi “KAMI” See Rahti Ha.
Apni Dharkano Se Kuch Aisay Mera Naam Lo,
Ye Waqt Ruk Jaye Iss Lamhay Ko Thaam Lo,
Teri Aankhon Mein Jhalak Ha Asi Merey Pyar Ki,
Saahil Pe Jesey Dhalti Haseen Shaam Ho…