Latest collection of rude text messages, thank you messages, love text messages, hilarious text messages, funny romantic text messages, funniest sweet text messages, birthday messages and sms text messages.

Archive for the ‘Urdu Poetry’ Category


Kabi utro yun mary dil ky aangan main

Jan 3, 2009 Author: admin | Filed under: Love Poetry, Urdu Poetry

Kabi utro yun mary dil ky aangan main

Ksi udas mosam main

ksi viran lamhay main

chupky say

dbay payun

Mari aankhoon pr rakh do hath

Apny

Aur

Hansty huay kah do

Booj lo to hum tumhary

na boojy to tum humary

Wo aashana b mila hum say ajnabi ke tarah

Dec 1, 2008 Author: Saim | Filed under: Sad Poetry, Urdu Poetry

Wo aashana b mila hum say ajnabi ke tarah
Kisy khabr the kah baray g orrr tareeki
Chupy ga wo kisi badil main chandani ke tarah

Barha ky pyas mari us nay hath chor dia
Wo kr raha tha murawat b dillagi ke tarah
Sitm to yh hay kah wo b na ban saka apna
Qabool jis ky kiay gum hum nay khushi ke tarah

Kabi na socha tha hum nay asim us kay liay
Kary ga hum py sitm wo b hr kasi ke tarah

Main nay poocha kaisay ho

Nov 30, 2008 Author: admin | Filed under: Love Poetry, Urdu Poetry

Main nay poocha kaisay ho
Badly ho ya wasy ho
Roop wohi Andaz wohi
Ya phir is main koi kami
Hijr ka kuch ehsas to ho ga
koi tumhary pass to ho ga
Main bichra yah majboori the
kab manzoor mujy yh doori the
Sath humara kab choota hay
Rooh ka rishta kab toota hay
Aankh sy jo aansu bahty hain
Tum ko khabr hy kia kahty hain?
Main ny kaha Awaz tumhari
Aaj b hay humraaz hamari
Phool wafa ky khil jian gy
Ik din hum phir mil jian gy

  • Comments Off
  • Tanha tanha hum rahny lagy hain

    Nov 23, 2008 Author: admin | Filed under: Love Poetry, Urdu Poetry

    Kabi milty ho tum khawaboon main
    Kabi milty ho tum yadoon main

    Sapna ban kar kyun rahty ho
    Dilbar mary inn aankhoon main

    Har waqt mary nazdeek raho
    Kuch mari suno kuch apni kaho

    Tare yaadoon ke jo khushbu hay
    Mari sansoon ko mahkany lagi hay

    Tari yaad boht ab anay lagi hay
    Ik jan hay wo ab jany lagi hay

    Tanha tanha hum rahny lagy hain
    Tanhai bara ab tarpany lagi hay

    Aankhain bheeg jati han

    Nov 20, 2008 Author: Saim | Filed under: Love Poetry, Poetry SMS, Sad Poetry, Urdu Poetry

    Tumharaa Nam Likhny Ke ijazt cheen gai jb sy
    Jab koi lafz liktha hon Aankhain bheeg jati han

    Khud ko hum nay boht azma kar dakha

    Oct 19, 2008 Author: Saim | Filed under: Sad Poetry, Urdu Poetry

    Kuch din tujy bhula kr dakha
    zindagi say duur ja kar dakha
    agar tum nahi sath to zindagi he nahi
    Khud ko hum nay boht azma kar dakha

    Kr lia safar kitna

    Oct 19, 2008 Author: eman | Filed under: Poetry SMS, Sad Poetry, Urdu Poetry

    In Udas rahoon Par
    Is akailay dil ky sath
    Kr lia safar kitna
    Or Kitna Baki hy?

    Wo jo ik tara sa
    Guur jhilmalata hay
    Rasta dakhta hay
    R doob jata hay
    Tb akailay pan say dil
    yh sawal karta hay
    Jugnuon ke khawaish main
    Titlion ke chahat main
    Kr lia safar kitna
    R
    Kitna baki hay?

    Yaad hamain wo har pal hy

    Sep 17, 2008 Author: Saim | Filed under: Urdu Poetry

    koi duur ho kitna hi kia gum hy,
    magar wo apna hai ye kia kam hy,
    chahy na ho bat na ho mulakat kia gham hy,
    yaad hamain wo har pal hy yh kia kam hai……


    Advertising










    Categories


    Archives


    Links


    Meta