ek muddat hui ek zamana hua
khak-e-gulshan mein jab ashiyana hua
zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujremana hua
hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe
mere dil-e-nadan se kuch bhul hui ha
huron ki talab aur mai-o-sagar se hai nafrat
zahid tere irfan se kuch bhul hui ha..
bhuli hui sadaa hun mujhe yaad kijiye
tum se kahin mila hun mujhe yad kijiye
manzil nahin hun khizr nahi rahzan nahi
manzil ka ranta hun mujhe yad kijiye..
dukh dard ki saugat hai dunya teri kya hai
ashkon se bhari rat hai dunya teri kya hai
kuch log yahan nur-e-sahar dhundh rahe hain
tarik si ik rat hai dunya teri kya hai…
rudad-e-muhabbat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye
do din ki masrrat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye
jab jam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahfil mein
wo hosh k sath kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye…