Some topic names for this category are: Sad Poetry . Poetry Sad . Sad Love Poetry . Love Sad Poetry . Sad Shayari< . Sad Sayings . Hindi Sad Poetry . Sad Sms . Sad Poems
kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kr
wo badal gaye achanak meri zindagi badal kar
huye jis pa meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal kr….
agaz to hota ha anjam nahin hota
jab meri kahani main wo nam nahin hota
jab zulf ki kalikh main ghul jaye koi rahi
badnam sahi lekin gumnam nahin hota …
kahan aa k rukny tha raste kahan mor tha use bhul ja
vo jo mil gaya use yad rakh jo nahi mila use bhul ja
vo tere nasib ki barishen ksi aur chat pe baras gai
dil-e-bekhabar meri bat sun use bhul ja use bhul ja
tu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa ha
ke hum ko tera nahin intazaar apana ha
mile koi bhi teraa zikr cheer dete han
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai..
meri zindagi kisi aur ki, mere nam ka koi aur ha
mera aks hai sar-e-aina, pase aina koi aur ha
meri dharkanon main ha chap si, ye judai bhi ha milap si
mujhe kya pata, mere dil bata, mere sath kya koi aur ha..
Karna na uss pe iss qadar ehsaan dekhna
deewana de na jaye kahin jaan dekhna..
sargoshio mein kr liya ehd-e-wafa jo aaj
barpa karey gaa ek din toofaan dekhna…
Is do pal ke zindage main tanhai kun hy!
logon ko humsay ruswae kun hy!
is dunya mein insan kum to nahi,
phir mere sath sirf mari parchai kun hy!
ab k barsat ki rut aur bhi bharkili hai
jism se ag nikalti hai, qaba gili hai
sochta hun k ab anjam-e-safar kya hoga
log bhi kanch k hain, rah bhi pathrili hai
zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi
saya diwar pe mera tha sada kis ki thi
uski raftaar sey lipti rahi meri ankheen
us ne mur kar bhi na dekha k wafa kis ki thi…
ye na thi hamari qismat k wisal-e-yar hota
agar aur jite rahte yahi intzar hota
tere wade par jiye ham to ye jan jhuth jana
k khushi se mar na jate agar aitbar hota…