Some topic names for this category are: Sad Poetry . Poetry Sad . Sad Love Poetry . Love Sad Poetry . Sad Shayari< . Sad Sayings . Hindi Sad Poetry . Sad Sms . Sad Poems
Bohat hoon udaas woh jo pas nahi,
Us ka wapis aany ki koi aas nahi,
Pal pal ha guzarta us ki yadon mein,
Woh ha mera kuch ehsaas nahi….
Main Na Mil Sakoon Jo Tumse Meri Justaju Naa Karna,
Tumhe Merihi Qasam Hai Meri Aarzoo Na Karna,
Mujhy Jis Say Hai Mohabbat Use Hai Ajab Ye Aadat
Kabhi Munh Ko Pher Lenaa Kabhi Guftagu Naa Karna
Maine Chaahaa Thaa Kisi Ko Meraa Haal Kyaa Hai Dekho
Jo Kiyaa Kasoor Maine Wohi Tum Kabhi Na Karna
Meri Ho Agar Buraayi To Naa Denaa Tum Safaai
Mere Saath Khud Ko Be Ruswaa Kabhi Tum Na Karna
Qurbat Bhi Nahi Dil Say Uter Bhi Nahi Jata
Wo Shakhs Koi Faisla Kar Bhi Nahi Jata
Aankhein Hein Ka Khali Nahi Rehti Lahoo Say
Or Zakhm-e-Judai Ha Bher Bhi Nahi Jata…..
Khuaab Bhi Shayad Kaanch sa Kamzor Hotay Hein.
Jo Roz Bikhar Jatay Hein, Faqat Ik Aankh Khulnay Sa….
Pahlay To Kisi Ko Bi Rulaya Nhi Kertay
Hann Khud Say Khafa Ho To Manaya Nhi Kertay
Ek Baar Gira Dein Jisay Hum apni Nazroon Say
Oss Shakhs Ko Phir Dil Mein Bethaya Nhi Kertay…..
Qurbat B Nhi,Dil Say Uter B Nhi Jata
Wo Shakhs Koi Faisla Ker B Nhi Jata
Ankhein Hein K Khali Nhi Rehti Lahoo Sa
Or Zakhm-e-Judai Ha Bher B Nhi Jata
kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kr
wo badal gaye achanak meri zindagi badal kar
huye jis pa meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal kr….
agaz to hota ha anjam nahin hota
jab meri kahani main wo nam nahin hota
jab zulf ki kalikh main ghul jaye koi rahi
badnam sahi lekin gumnam nahin hota …
kahan aa k rukny tha raste kahan mor tha use bhul ja
vo jo mil gaya use yad rakh jo nahi mila use bhul ja
vo tere nasib ki barishen ksi aur chat pe baras gai
dil-e-bekhabar meri bat sun use bhul ja use bhul ja
tu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa ha
ke hum ko tera nahin intazaar apana ha
mile koi bhi teraa zikr cheer dete han
ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai..