Some topic names for this category are: Sad Poetry . Poetry Sad . Sad Love Poetry . Love Sad Poetry . Sad Shayari< . Sad Sayings . Hindi Sad Poetry . Sad Sms . Sad Poems
Pathar tha magar barfk gaalon ki trah tha.
Aik shakhs andheron min ujalon ki trah tha.
Khwabon ki trah tha na khyalon ki trah tha.
Wo ilm e riyazi k sawalon ki trah tha.
Uljha hoa asa k kbhi hal ho nhi paya.
Suljha hoa asa k misalon ki trah tha.
Wo mil to gya tha magr apna hi muqaddar.
Shatranj ki uljhi hoi chaalon ki trah tha.
Unki chahat mail dil majbur ho gayea
Bewafai karna unka dastur ho gaya
Kasoor unka nahi mera tha
maine chaha hi itna ki unko gurur ho gaya.
“Chor Ja”
Abi wakt hai mujhe chor ja.
Ye safar nhi azaab hai
Yaha her kisi pe naqab hai
Yaha bad-gumani ka raaj hai
Yaha be wafai ka rivaaj hai
Abi hosh khone k din nhi
Abi tere rone k din nhi
Abi sari nagri andhari hai
Abi din nikalne ma dair hai
Abi behar-e-ishq ma na utar
Abi shehar sara hai bekhaber
Abi wakt hai mujhe chor ja
Abi wakt hai mujhe chor ja.
Uth uth k kisi ka intizar kr k dakhna
Kabi kisi se pyar kr k dakhna
Kaise toot’te hai ye mohabbat k rishte
Ghaltian do chaar ker k dakhna
zindagi ka falsfa samjhna ho to
Barish ma khari kachi diwar kr k dakhna
Nafrat ho jai gi tum ko b duniya se
Mohabbat kisi se beshumar kr k dakhna
Allah kary har raat chand banke aye
Din ka ujala shaan ban ke aye
Kabhi na dur ho apky chehre se muskurahat
Har din aysa mehman ban k aye
Nadaan hai kitna wo
kuch samjhta hi nhi sagar…
Seeney se laga k pochta hai
k dharkan taiz kyun hai…
Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha
kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhal rakhta tha
suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha
HAQ’ ada teri ibadat ka nahi hum se howa
hum rahe ‘GAFLAT’ mai humse hora hai tu juda
aaj ru ru kar kehta hai ‘INSAAN’
ALVIDA-E-MAHE-RAMADAAN ALVIDA….
Na gila hay koi halat se
Na shikayatain teri zaat se
Khud hi sary warq juda huay
Meri zindagi ki kitab se
Tujhy chaha tha tujhy pa lia
Tujhy pa k b tujhy kho dia
Mujhy khawahshoon ki thi aarzu
Meri zindagi main aazab thy
Meri wehshaton ki rah main
Faqat mehfilon k sarab thy
Kati umar jin ki talash main
Mery ratt jagon k wohi khawab thy
Youn hi bhatak bhatak k tamam umar kabhi asar hi na hua
Jinhain kho dia tery ishq main wo sapny be-hisab thy
Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae
Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae
Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae
Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae
Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae ..!!