Some topic names for this category are: poetry txt sms - poetry sms messages - short poetry sms - romantic poetry sms - sad poetry sms - love poetry sms
jo tu hi sanam ham se bezar hoga
to jina hamain apna dushawar hoga
gam-e-hijr rakhega betab dil ko
hamain kurhte-kurhte kuch azar hoga..
Lafzon ki justju mein sab kuch ganwa diya,
wo chal diye mein tarz-e-ada dhundti rahi,
unko kisi ne Rab se liya mang aur mein,
sajde mein gir kar harf-e-dua dhundti rahi….
khayal-o-khwab hue hain muhabbaten kasi
lahu main nach rahin hain ye wahshaten kasi
na shab ko chand hai acha na din ko mehar acha
ye ham pe bit rahi hain qayamaten kasi..
safar-e-manzil-e-shab yad nahi
loog rukhsat huye kab yad nahi
dil mein har waqt chubhan rahti thi
thi mujhe kis ki talab yad nahi
raat ai hay balaon sey rihai degi
ab na divar na zanjir dikhai degi
vaqt guzra hay par mausam nahin badala yaro
aisi gardish hay zameen khud bhi duhai degi
Woh pathar dil sahi hamaray bhi ye dawa hay
Hamaray lub jinhe chu ley wo pathar bol uttey
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe
Yeh charahg-e-be nazar yeh sitara be zuban hai
Abhi tujh se milta julta koi doosra kahan hai??
Kabhi pa ky tujh ko khona, kabhi kho ky tujh ko pana
Yeh janam janam kay rishtay tere mere darmiyan hain
Iqrar mein kahaan hay Inkar ki si khoobi,
Ky barhta hay shauq-e-Ghalib un ki nahi nahi sy
tum na huk sheeshay chun chun kr
daman mein chupaey baithay ho
sheshon ka masiha koi nahi
kia aas lagaey baithey ho
Main titlee ko sula don gaa zara tum sham hony do,
Main jugno ko jaga don gaa zara tum sham hony do,
Kahin aghaz hota hai kahin anjam hota hay,
Tumhain sub kuch bata don gaa zara tum sham hony do,
Meri numnaak ankhon ko na dekho yun hikarat sey,
Main tum ko bi rula don gaa zara tum sham hony do,
Mera emaan ha ky tum ko andherey choo nahi saktey,
Main apna ghar jala don gaa zara tum sham hony do.