Some topic names for this category are: faraz sms messages, funny faraz sms, faraz sms jokes, new faraz sms, faraz sms in urdu
phati-phati hui ankhon sa yun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis ki vo shaKhs mar bhi gaya
magar falak ki adavat usi k ghar sa na thi
jahan ‘Faraz’ na tha sail-e-gam udhar bhi gaya..
ye judaiyon k raste bari dor tak gaye han
jo gaya vo phir na lauta meri bat man jao
ksi bevafa ki khatir ya junun ‘Faraz’ kab tak
jo tumhen bhula chuka hai use tum bhi bhul jao
rahazan ho to haazir ha mataa-e-dil-o-jaan bhi
rahabar ho to manzil kaa pataa kyon nahi detey
kyaa beet gai ab ke ‘Faraz’ ahal-e-chaman par
yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyon nahin detey..
tum bhi khafa ho log bhi by ryhm hain dosto
ab ho chala yaqin k bure ham hain dosto
kis ko hamare hal se nisbat hai kya karain
ankhain to dushmano ki bhi purnam hain dosto
dukh fasanaa nahi ke tujh se kahen
dil bhii manaa nahin ke tujh se kahen
aaj tak apanii bekalii kaa sabab
Khud bhii jaanaa nahin ke tujh se kahen
ek tuu harf_aashnaa thaa magar
ab zamaanaa nahin ke tujh se kahen
badan ke dono kinaron se jal raha hon main
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa hon main
tujhii pe Khatm hai jaanaan mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa hon main
bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaan badal rahaa hon main..
Door reh kr bhi mery pas hy wo,
Khiyal hay mera ya koi ehsas hy wo,
Mujy neend nahi ati aj kal ratoon ko,
Lagta hay kuch dino sy udas hy wo…
Hum Se Bichar Ky Us Ka Takbbur Bikhar Gaya Faraz
Har Ek Sey Mil Raha Hay wo Barii Aajzii Ky Saath..
‘Faraz’ tark-e-ta’alluq to khair kya hoga
yahi bahut hai ke kam kam mila karo us sey.
Faraz jaise koi diya turbat-e-hava chahe hay
tu pas aye to mumkin hai main rahun bhi nahin