eid ke chaaNd ko dekh ker
mere lab kap-kapaaye
per yeH duaa
is saal bhi
mere honton se azaad na hui
ke
ai kHuda….
ab ke mujhe chaand main us ka chehra
dikhaai na de….
Har roz-e-eid tumhare muradon ke,
hasieN phulon ke gHunche khila ke laaya ho,
tumhari maang main afshaan saje sitaaron ki,
tumhare saath kisi ba-wafa ka saya ho…..
Main ne chaha tujhe ‘Eid’ pe kuch pesh karuun
jis mein ehasaas ke sab rang hon raushan raushan
jis mein aankhon ke taraashe hue motii laakhon
jis mein shaamil ho mere qalb ki dharkan dharkan…
Aane wali rutoon ke aanchal main
koi saaet-e-sayed kia ho gi
gul na ho ga to jashn-e-khushbu kaisa
tum na ho ge to eid kia ho gi…..
ay eid tum jab bhi aana sab k liye bas khushiyan lana
her chehry pe hansee sjana har aangen mein phool khilana
jo roye hain un ko hansana jo rothy hain un manana
pyaari eid tum jab bhi aana sab k liye khushiyan lana ..
pichhale pahar se uTh ke nahaane ki dhom ha
shiir-o-shakar sivayyaaN pakaane ki dhom ha
piir-o-javaan ko nema’ten khaane ki dhom ha
larkoon ko eid-gaah pa jaane ki dhom ha..
ay chaand
jub wo tari taraf dakhain
to unhain kuch yaad dilaana
mudhar sa kuch geet sunana
orr kahna
tumhain koi yaad karta ha
tari aarzo,tari umeed karta ha
koi aaj bhi
tumhain dakh kar eid kr eid karta ha…..
Zindagi k her pal khushion se kam na ho,
Aap ka her din eid ke din se kam na ho,
Aisa eid k din ap ko hamesha naseeb ho,
Jis main koi dukh koi ghum pass na ho…
~ Eid Mubarak ~
Yeh dua mangte hain hum eid k din,
Baqi na rahe aap ka koi gham eid k din,
Aap k aangan mein utry har roz khushion bhara chand
or Mehakta rahy pholon sa chaman EID k din.
“EID Mubarak”