Nazr ka chain dil ka saror hoty han
kuch aisay log jahan ma zaror hity han
sada chamakta rahy un ki eid ka tahwar
dor rah kar bhi ju hum sa kareb hity han…
Is Eid per kia mouqoof aaiy dost
khuda karay tera her lamha ho sadaiy Eid
mei teri raah me bikher jaon khushboo ki terha
meray liye to bass yehi hai muntehaiy Eid….
Eid is pe khafa hogai ham se keh
ham ne isay manaya hi nahi
ham usay kia batain k eid ka din
hamaray aangan me kabhi aaya hi nahi…
kHud chaand unhen ki deed ki chaah mein haazir-e-kHidmat hota ha
Voh chand ki nazron mein a’ain ,ik rashk ka alam hota ha
kiya tum ko batain ham yaro kiya zeest ka aalam hota ha
jab uthty haiN un ke hinae hath aur adab se sar kham hota ha..
Shagufta Shadab, Be had Adaab
Pholoon Ki Mehak, Aabsharoon Ka taranum
Shabab Ka umang, Kaliyoon Ka tabassum
Fizaoon Main Rachi Khushboo Jaisi
Saher Angaiz shagoofoon, Dil Awaiz Naghmoon Jaisi
Bharpoor ghungunatay khayal main…
khush-kun Adaoon jaisi…
Khush-Ada Machalti, Ghungunati, Reshmi Lehroon Jaisi
Haseen yadoon ke jal thul jaisi
Pur-Kashish Eid Aye hai.
Is Dhanak Rang Mouqa Per Meri Janab Se
Eid Mubarak
Guzry huy wasal k din raat bhool ja
milne na deinge ab hamein haalaat bhool ja
mausam badal gaye haiN zamana guzar gaya
ai dost tu bhi eid-e-mulaqaat bhool ja…
Guzre hue wasal ke din raat bhool ja,
milne na deiNge ab hameiN haalaat bhool ja,
mausam badal gaye haiN zamana guzar gaya,
ai dost tu bhi eid-e-mulaqaat bhool ja….
khud chaand unheen kee deed ki chaah meiN haazir-e-kHidmat hota ha,
Voh chaand ki nazroN meiN aa’aiN ,ik rashk kaa aalam hota ha,
kiyaa tum ko bataaiN ham yaro kiyaa zeest ka aalam hota ha,
jab uTh-te haiN un ke hinaee hath aur adab se sar kHam hotaa ha…
Aayee ha Eid aaj bhi har saal ki tarhaa,
par, aise ke, tarab ka koi silsilaa na ho,
pichhle baras thaa khauf, tujhe kho na dooN kahin,
ab ke baras duaa hai teraa samnaa na ho….
Naye Khushi Ke Sath FaLak Ki Siyah Chadar Pr,
Sar-e-Shaam Halal-e-Eid Jab Nazar Aaya,
Kuch Tu Hogaye Fart-e-Musurat Se PagaL,
Kuch Ne Jhoti TasaLi Se DiL BehLaya…..