badan ke dono kinaron se jal raha hon main
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa hon main

tujhii pe Khatm hai jaanaan mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa hon main

bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaan badal rahaa hon main..